Thursday, August 11, 2011

Dil mein phir dard huwa daiyr talak
Na mili is ko dawa daiyr talak

Main ney khushbou ki haqeeqat pochi
Phol khamosh raha daiyr talak

Tum ney tou sirf suna he ho ga
Main ney jo dard saha daiyr talak

Shab ko phir main ney sulagta paya
Mann ka khamosh diya daiyr talak

Os ney kuch aur kaha tha shayed
Main ney kuch aur suna daiyr talak!

Os ney pocha ke mujhy yaad kia?
Main ney tab hans ke kaha daiyr talak

Janay wala nahe ik pal bhi ruka
Aks Aankhon mein raha daiyr talak.
Zuban kanta sa ban gai hai
Jo baat kehni thi unkahi hai

Kisi ki khawahish bhi kya ajab thi
Naseeb jaga tou so gai hai

Woh dil ki basti, woh khuwab nagri
Ujarr gaye hum tou jab bassi hai

Taweel zulmat batao kab tak?
Khafa sitaron ki roshni hai

Dehakty angaar si hai ankhein
Tou kyun ye lehjay mein barf si hai.
Achha he tha hosh gawana
Zeest bani Aakhir afsana

Jo apna tha gair wohe hai
Dil ney rafta rafta maana

Khushiyan jhooty resham jaisi
Sacha gham ka taana baana

Khuwar tumhe ye kar daaly ga
Dil ki baaton mein matt Aana

Chanda chhatt pey chori bhanpey
Aankh bacha key Aankh milana

Sotay mein chonka deta hai
Khuwahish ka asaib purana..

Yunh dil ko har ik shaks pey waara nahe karty

Yunh dil ko har ik shaks pey waara nahe karty
Aankhon mein har ik aks utaara nahe karty

Honi hai tou ik baar he ho jaye mohabat
Ye bhol hai aisi ke dobaara nahe karty

Achha huwa main ney he faqt dekha magar yunh
Mehfil mein kisi ko bhi ishaara nahe karty

Kyun pyar ki baazi sey ho is darja guraiz'an
Kehty hain ke dil haar ke haara nahe karty

Mil jaye sir-e-raah jo bichra huwa koe
Chup chaap he takty hain pukara nahe karty...

Oski Aankhon mein aik saaya hai

Oski Aankhon mein aik saaya hai
Chot kha kar jo muskuraya hai

Yaad ban kar jo rach gaya khon mein
Osko sach much bohat bhulaya hai

Log kyun Aa gaye mitanay ko?
Hum ney kab shehr-e-dil basaya hai

Soch lo neend rooth jaye gi
Khuwab Aankhon mein kyun sajaya hai

Hum ney di hain dua'ein os os ko
Dil ko jis jis ney bhi dukhaya hai

Janay wala tou khair kya Aata !
Haan magar dard laut aaya hai

Os ney har baar he faraib diya
Baarha hum ney Aazmaya hai.